aakhir kab tak ??

kaho mann tum ab apni vyatha
nirantar bechaini ki or
tum liye antardwandwa bharpoor
na jaane kya paaane ko bechain ??
na jaaane kya reh gaya apoorna
tum liye chaaah anant apaaar
tum sada ichchaon se pareepoorna
sada kuch karne ko betab
liye apne main badi si chaaah
usi ko paane ka yeh athak prayas
prayasoon se chalti ye dhara
aur chahtoan ka ye aseem sansar
jahan chahat banti hai mool
aur prerit karti bharpoor
kintuu jab mil jaati ek chah
kholti ye kaiyon ki raaah
ye kab tak chalta rahega kram
aur tum kab tak rahooge sanlagna
yahi wo yaksha prasna sampoorna
jise utter dena hai tumhe
tumhari bechaini ka raaj
isis main nihit tera kalyaan

Comments

Popular Posts